Ajab Din Thy Mohabbat Ke
Ajab Din Thy Mohabbat Ke, Ajab Din Thy Rafaaqt Ke,
Kbi Gar Yaad Aa Jayen To Palkon Pe Sitary Jhilmilaty Hain,
Kisi Ki Yaad Mein Raaton Ko Aksr Jaagna Mamool Tha Apna,
Kbi Gar Neend Aa Jati To Hum Soch Lete Thy,
Abi Woh Hamary Waasty Roya Nahi Ho Ga,
Abi Soya Nahi Ho Ga_._._!
Abi Hum B Nahi Roty Abi Hum B Nahi Soty,
So Phir Hum Jaagty Thy Aur Us Ko Yaad Krty Thy,
Akely Beth Kar Weeran Dil Aabad Krty Thy,
Hamary Samny Taaron K Jhurmat Mein Akela Chaand Hota Tha,
Jo Us Ke Husn K Aagy Bohat Hi Maand Hota Tha
Falak Per Raqs Krty Un-Gint Roshan Sitaron Ko,
Jo Hum Tarteeb Dety Thay to Us Ka Naam Banta Tha_._._!
Hum Agly Roz Jab Milty To Guzri Raat Ki Har Be-Kali Ka Zikr Krty Thy,
Har Ik Qissa Sunaty Thy,
Kahan, Kis Waqt, Kis Tarah Dil Dharka Bataty Thy_._._!
Mein Jab Kehta K Jaan Aaj to Mein Raat Ko Ik Pal Nahi Soya,
To Woh Khamosh Rehti Thi,
Per Us Ki Neend Mein Doobi 2 Jheel C Aankhen,
Achanak Bol Uthti Thin_._._!
Mein Jab Us Ko Batata Tha K Mein Ne Raat Ko,
Roshan Sitaron Mein Tumhara Naam Dekha Hai,
To Woh Kehti Tum Jhoot Kehty Ho,
Sitaary Mein Ne Dekhy Thy Aur un Roshan Sitaaron Mein,
Tumhara Naam Likha Tha_._._!
Ajab Masoom Larki Thi Mujhy Kehti Thi Lagta Hai,
Ab Apny Sitaary Mil Hi Jayen Ge,
Mgr Us Ko Khbr Kya Thi Kinaary Mil Nahi Sakty,
Mohabbat Ki Kahani Mein, Mohabt Karny Walon Ke
Sitaary Mil Nahi Sakty_._._!
[{(*Ahmad*)}]®
Meri Zindagi tou firaaq hai
Meri Zindagi tou firaaq hai,
Woh azal se dil main makeen sahi
Wo nigah-e-shauq se door hain,
Rag-e-jaan se lakh qareen sahi
Hamein jaan dainee hai aik din,
wo kisi tarah wo kahin sahi
Hamein aap khainchiye daar par,
jo nahi koi tu hameen sahi
Sar-e-toor ho sar-e-hasher ho,
hamein intizaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kahin milein,
wo kabhi sahi, wo kahin sahi
Na ho un pe kuch mera bass nahi,
k ye aashqi hai hawas nahi
Mein unhi ka tha, mai unhi ka hoon,
wo mere nahi tu nahi sahi
Mujhe bhaithne ki jaga milay,
meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,
teri anjuman k qareen sahi
Eera dar tau hum ko na mil saka,
teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai,
jo wahan nahin tau yahin sahi
Meri zindagi ka naseeb hai
nahin door mujh se qareeb hai
Mujhay uska ghum tau naseeb hai
wo agr nahi tu nahi sahi
Jo ho faisla wo sunaaiye
usay hashr pe na uthaiye
Jo karain gay app sitam wahan
wo abhi sahi wo yehin sahi
Usy dekhne ki jo loo lagi
tu naseer dekh hi len gy hum
Wo hazaar aankh se door ho,
wo hazaar parda nasheen sahi.
[{(*Ahmad*)}]®
Please keep visiting this page for my latest update
1 comments:
nic
Post a Comment